Sheesha ho ya dil ho Aakhir (toot jaata hai) Lab tak aate aate haathon se Sagar (choot jaata hai) Sheesha ho ya dil ho Aakhir toot jaata hai Kaafi bas armaan nahin Kuch milna aasaan nahin Duniya ki majboori hai Phir taqdeer zaroori hai Yeh jo dushman hai aise Donon raazi ho kaise Ek ko manao to duja (rooth jaata hai) Sheesha ho ya dil ho Aakhir toot jaata hai (Baithe the kinare pe Maujon ke ishare pe) Ham khelein toofanon se Is dil ke armaanon se Hamko yeh maloom na tha Koi saath nahin deta Maajhi chod jaata hai Saahil (choot jaata hai) Sheesha ho ya dil ho Aakhir (toot jaata hai) Sheesha ho ya dil ho Duniya ek tamasha hai Aasha aur nirasha hai Thode phool hai kaante hai Jo taqdeer ne baante hain Apna apna hissa hai Apna apna kissa hai Koi lut jaata hai Koi (loot jaata hai) Sheesha ho ya dil ho Aakhir (toot jaata hai) Lab tak aate aate haathon se Sagar (choot jaata hai) Sheesha ho ya dil ho